falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae
dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi
Naseer Ahmad Nasir
hula din hum ne kitaben ki us pari-ru ke
kitabi chehre ke aage kitab hai kya chiz
Nazeer Akbarabadi
sab kitabon ke khul gae mani
jab se dekhi 'nazir' dil ki kita
Nazeer Akbarabadi
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
Nazeer Baaqri
dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho
Nida Fazli
mazmun sujhte hain hazaron nae nae
qasid ye KHat nahin mere gham ki kitab hai
Nizam Rampuri
chhupi hai an-ginat chingariyan lafzon ke daman mein
zara paDhna ghazal ki ye kitab aahista aahista
Prem Bhandari