barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho
har patta na-asuda hai mahaul-e-chaman aaluda hai
rah jaen larazti shaKHon par do chaar gulab to achchha ho
yun shor ka dariya biphra hai chiDiyon ne chahakna chhoD diya
KHatre ke nishan se niche ab utre sailab to achchha ho
har sal ki aaKHiri shamon mein do chaar waraq uD jate hain
ab aur na bikhre rishton ki bosida kitab to achchha ho
har bachcha aankhen kholte hi karta hai sawal mohabbat ka
duniya ke kisi goshe se use mil jae jawab to achchha ho
Ghazal
Barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
Ghulam Mohammad Qasir