wafa nazar nahin aati kahin zamane mein
wafa ka zikr kitabon mein dekh lete hain
Hafeez Banarasi
kuchh aur sabaq hum ko zamane ne sikhae
kuchh aur sabaq hum ne kitabon mein paDhe the
Hastimal Hasti
ek charagh aur ek kitab aur ek ummid asasa
us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai
Iftikhar Arif
wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek waraq purana tha
Iftikhar Arif
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai waiz
main apna jam uThata hun tu kitab uTha
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
Jigar Moradabadi
main us ke badan ki muqaddas kitab
nihayat aqidat se paDhta raha
Mohammad Alvi