har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla
kitab ka na koi dars mo'tabar nikla
nafas tamam hua dastan KHatm hui
jo tha tawil wahi harf muKHtasar nikla
jo gard sath na uDti safar na yun kaTta
ghubar-e-rahguzar mauj-e-baal-o-par nikla
mujhe bhi kuchh nae teshe sambhaalne hi paDe
purane KHol ko jab wo bhi toD kar nikla
faza kushada nahin qatl-gah ki ye kahan
mere lahu ka parinda uDan par nikla
wo aadmi ki jo mahmil tha aaftabon ka
ba-qadr-e-yak-do kaf-e-KHak-e-rahguzar nikla
ye raat jis ke liye main ne jag kar kaTi
mila wo shaKHs to KHwabon ka ham-safar nikla
uDha di chadar-e-ismat ise KHayalon ne
har ek lafz zaban se barahna-sar nikla
'faza' tum uljhe rahe fikr o falsafe mein yahan
ba-nam-e-ishq wahan qura-e-hunar nikla
Ghazal
Har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla
Faza Ibn e Faizi