chaaron taraf hain shole ham-sae jal rahe hain
main ghar mein baiTha baiTha bas hath mal raha hun
Alam Khursheed
log TuT jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
Bashir Badr
tum abhi shahr mein kya nae aae ho
ruk gae rah mein hadsa dekh ka
Bashir Badr
yahan ek bachche ke KHun se jo likha hua hai use paDhen
tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai
Bashir Badr
jala hai shahr to kya kuchh na kuchh to hai mahfuz
kahin ghubar kahin raushni salamat hai
Faza Ibn e Faizi
arud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho
Ghulam Mohammad Qasir
junun ko hosh kahan ehtimam-e-ghaarat ka
fasad jo bhi jahan mein hua KHirad se hua
Iqbal Azeem