ye jo raaton ko mujhe KHwab nahin aate 'ata'
is ka matlab hai mera yar KHafa hai mujh se
Ahmad Ata
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
Ahmad Faraz
mujh se bigaD gae to raqibon ki ban gai
ghairon mein baT raha hai mera e'tibar aaj
Ahmad Husain Mail
kisi mashuq ka aashiq se KHafa ho jaana
ruh ka jism se goya hai juda ho jaana
Ahsan Marahravi
KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein
hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai
Akhtar Shirani
ishq mein tahzib ke hain aur hi kuchh falsafe
tujh se ho kar hum KHafa KHud se KHafa rahne lage
Alam Khursheed
meri betabiyon se ghabra kar
koi mujh se KHafa na ho jae
Aleem Akhtar