اردو हिंदी
Bharosa Shayari | Shaahi Shayari

Bharosa

28 Shers

wo kahte hain main zindagani hun teri
ye sach hai to un ka bharosa nahin hai

Aasi Ghazipuri




dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhaD jaane ka Dar bhi nahin jata

Ahmad Faraz




mujh se bigaD gae to raqibon ki ban gai
ghairon mein baT raha hai mera e'tibar aaj

Ahmad Husain Mail




meri taraf se to TuTa nahin koi rishta
kisi ne toD diya e'tibar TuT gaya

Akhtar Nazmi




ahut qarib rahi hai ye zindagi hum se
bahut aziz sahi e'tibar kuchh bhi nahin

Akhtar Saeed Khan




mujhe hai e'tibar-e-wada lekin
tumhein KHud e'tibar aae na aae

Akhtar Shirani




ye aur baat ki iqrar kar saken na kabhi
meri wafa ka magar un ko e'tibar to hai

Aleem Akhtar