main aur us ghuncha-dahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
Abdul Hamid Adam
muddaa dur tak gaya lekin
aarzu lauT kar nahin aai
Abdul Hamid Adam
takmil-e-arzu se bhi hota hai gham kabhi
aisi dua na mang jise bad-dua kahen
Abu Mohammad Sahar
sab KHwahishen puri hon 'faraaz' aisa nahin hai
jaise kai ashaar mukammal nahin hote
Ahmad Faraz
wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya
use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi
Ahmad Mushtaq
kya wo KHwahish ki jise dil bhi samajhta ho haqir
aarzu wo hai jo sine mein rahe naz ke sath
Akbar Allahabadi
ang o bu mein Dube rahte the hawas
hae kya shai thi bahaar-e-arzu
Akhtar Ansari