kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain
tere takiye ke niche bhi hamare KHwab rakkhe hain
Ghulam Mohammad Qasir
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betab guftugu karte
Haidar Ali Aatish
aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha
Hasrat Mohani
hum kya karen agar na teri aarzu karen
duniya mein aur bhi koi tere siwa hai kya
Hasrat Mohani
wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin
aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin
Hasrat Mohani
KHwab, ummid, tamannaen, talluq, rishte
jaan le lete hain aaKHir ye sahaare sare
Imran-ul-haq Chauhan
ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki
mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi
Iqbal Sajid