na-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
Dagh Dehlvi
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
Faiz Ahmad Faiz
ye aarzu bhi baDi chiz hai magar hamdam
visal-e-yar faqat aarzu ki baat nahin
Faiz Ahmad Faiz
jab koi naujawan marta hai
aarzu ka jahan marta hai
Farooq Nazki
kisi se shikwa-e-mahrumi-e-niyaz na kar
ye dekh le ki teri aarzu to KHam nahin
Figar Unnavi
meri ye aarzu hai waqt-e-marg
us ki aawaz kan mein aawe
Ghamgeen Dehlvi
hikayat-e-ishq se bhi dil ka ilaj mumkin nahin ki ab bhi
firaq ki talKHiyan wahi hain visal ki aarzu wahi hai
Ghulam Husain Sajid