arman wasl ka meri nazron se taD ke
pahle hi se wo baiTh gae munh bigaD ke
Lala Madhav Ram Jauhar
taskin de sakenge na jam-o-subu mujhe
bechain kar rahi hai teri aarzu mujhe
Mahesh Chandra Naqsh
jine walon se kaho koi tamanna DhunDen
hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai
Mahmood Ayaz
ahane aur bhi hote jo zindagi ke liye
hum ek bar teri aarzu bhi kho dete
Majrooh Sultanpuri
hamein bhi dekh ki hum aarzu ke sahra mein
khile hue hain kisi zaKHm-e-arzu ki tarah
Mohammad Deen Taseer
kisi ki tamanna nikalti rahi
meri aarzu hath malti rahi
Mubarak Azimabadi
milo milo na milo iKHtiyar hai tum ko
is aarzu ke siwa aur aarzu kya hai
Mubarak Azimabadi