hala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun
taKHayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya
dil us ko de diya to bhala kya bura kiya
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi
maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
duniya bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh
kuchh roz hain guzarne aur kuchh guzar gae
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-shara
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
uKHsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj
bose ka nam main ne liya wo nikhar gae
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
tassub bar-taraf masjid ho ya ho ku-e-but-KHana
rah-e-dildar par jata qadam yun bhi hai aur yun bhi
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
wo sar hi kya ki jis mein tumhaara na ho KHayal
wo dil hi kya ki jis mein tumhaara guzar na ho
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida