mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho
agar jaan ho aziz apni to jaanan par fida kyun ho
uThe jo aag sine se daba dun us ko ashkon se
shab-e-hijran mein nala se mera lab aashna kyun ho
milo KHalwat mein aur do tum mujhe dars-e-shakebai
karam tum mein na ho to dil mera sabr-azma kyun ho
chale jab tak zaban jari ho us par dastan-e-gham
tawanai tere bimar ki sarf-e-dua kyun ho
bhala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun
taKHayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho
agar baKHt-e-rasa ne rahbari ki teri KHalwat tak
to phir dast-e-tamanna rehn-e-daman-e-qaba kyun ho
mere KHun aur hina mein der se baham raqabat hai
na ho gar rang-e-KHun pa mein to phir rang-e-hina kyun ho
qayamat ek din aai hai is mein shak nahin 'shaida'
khaDa ho bazm se jab wo qayamat phir bapa kyun ho
Ghazal
Mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida