charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya
dil us ko de diya to bhala kya bura kya
ab kholiye kitab-e-nasihat ko shaiKH phir
shab mai-kade mein aap ne jo kuchh kiya kiya
wo KHwab-e-naz mein the mera dida-e-niyaz
dekha kiya aur un ki balaen liya kiya
roz-e-azal se ta-ba-abad apni jaib ka
tha ek chaak jis ko main baiTha siya kiya
dekhe jo dagh daman-e-isyan pe be-shumar
main ne bhi josh-e-girya se tufan bapa kiya
gum-karda rah aae hain wo aaj mere ghar
ai meri aah-e-nim-shabi tu ne kya kiya
kya puchhte ho dast-e-qanaat ki kotahi
kuchh wa shab-e-visal mein band qaba kiya
lazzat hi thi kuchh aisi ki chhoDa na sabr ko
karte rahe wo jaur-o-sitam main saha kiya
kya shai thi wo jo aankh se dil mein utar gai
dil se uThi to ashk ka tufan bapa kiya
phir le chala hai kal mujhe kyun bazm-e-yar mein
ijad us ne kya koi tarz-e-jafa kiya
'shaida' ghazal paDho koi majlis mein dusri
ek paDh ke rah gae to bhala tum ne kya kiya
Ghazal
Charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida