phirta rahta hun main har lahza pas-e-jam-e-sharab
mujh ko bad-nam karegi hawas-e-jam-e-sharab
qafila aish ka tayyar hai rindon ke liye
qulqul-e-shisha-e-mai hai jaras-e-jam-e-sharab
jumbish-e-baad-e-sahar se hai tamawwuj mai mein
quwwat-e-jaan-e-hazin hai nafas-e-jam-e-sharab
KHam lunDha dun to na chakrae kabhi sar mera
ek jura mein gaya bul-hawas-e-jam-e-sharab
mujh se puchho asar-e-baada-e-gul-gun waiz
main hun rindon mein bahut nukta-ras-e-jam-e-sharab
TikTiki bandh ke dekha kiya itna ki bana
saya-e-mardum-e-dida magas-e-jam-e-sharab
mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-sharab
zulf-e-mushkin ke liye bu jo chali aati hai
hai nasim-e-sahari ham-nafas-e-jam-e-sharab
hum ne rindon ka maqula ye suna hai 'shaida'
sohbat-e-aish mein zahid hai KHas-e-jam-e-sharab
Ghazal
Phirta rahta hun main har lahza pas-e-jam-e-sharab
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida