kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'
honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai
Adeem Hashmi
kisi ko KHwab mein aksar pukarte hain hum
'ata' isi liye sote mein honT hilte hain
Ahmad Ata
so dekh kar tere ruKHsar o lab yaqin aaya
ki phul khilte hain gulzar ke alawa bhi
Ahmad Faraz
muskurae baghair bhi wo honT
nazar aate hain muskurae hue
Anwar Shuoor
sirf us ke honT kaghaz par bana deta hun main
KHud bana leti hai honTon par hansi apni jagah
Anwar Shuoor
kuchh to mil jae lab-e-shirin se
zahr khane ki ijazat hi sahi
Arzoo Lakhnavi
honTon par ek bar saja kar apne honT
us ke baad na baaten karna so jaana
Ateeq Allahabadi