rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai
us ne puchha to hai itna tera haal achchha hai
mah achchha hai bahut hi na ye sal achchha hai
phir bhi har ek se kahta hun ki haal achchha hai
tere aane se koi hosh rahe ya na rahe
ab talak to tere bimar ka haal achchha hai
ye bhi mumkin hai teri baat hi ban jae koi
use de de koi achchhi si misal achchha hai
daen ruKHsar pe aatish ki chamak wajh-e-jamal
baen ruKHsar ki aaghosh mein KHal achchha hai
aao phir dil ke samundar ki taraf lauT chalen
wahi pani wahi machhli wahi jal achchha hai
koi dinar na dirham na riyal achchha hai
jo zarurat mein ho maujud wo mal achchha hai
kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'
honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai
Ghazal
Rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai
Adeem Hashmi