ye aks aap hi bante hain hum se milte hain
ki naKHunon ke baghair apne zaKHm chhilte hain
KHabar mili hai ki tu KHwab dekhti hai abhi
KHabar mili hai teri samt phul khilte hain
hamein ye waqt ki baKHiya-gari pasand nahin
agarche waqt ke hathon se zaKHm silte hain
hamari umr se baDh kar ye bojh Dala gaya
so hum baDon se buzurgon ki tarah milte hain
kisi ko KHwab mein akasr pukara jata hai
'ata' isi liye sote mein honT hilte hain
Ghazal
Ye aks aap hi bante hain humse milte hain
Ahmad Ata