hue is qadar mohazzab kabhi ghar ka munh na dekha
kaTi umr hoTalon mein mare aspatal ja kar
stayed away from home, on being so gentrified
spent ones life in hotels, in hospitals then died
Akbar Allahabadi
tum rah mein chup-chap khaDe ho to gae ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyun nahin jate
Ameer Qazalbash
ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Iftikhar Arif
har ek se puchhte phirte hain tere KHana-ba-dosh
azab-e-dar-ba-dari kis ke ghar mein rakkha jae
Iftikhar Arif
koi qarya koi dayar ho kahin hum akele nahin rahe
teri justuju mein jahan gae wahin sath dar-badari rahi
Ilyas Ishqi
kucha-e-ishq mein nikal aaya
jis ko KHana-KHarab hona tha
Jigar Moradabadi
shahr mein kis se suKHan rakhiye kidhar ko chaliye
itni tanhai to ghar mein bhi hai ghar ko chaliye
Naseer Turabi