koi junun koi sauda na sar mein rakkha jae
bas ek rizq ka manzar nazar mein rakkha jae
hawa bhi ho gai misaq-e-tiragi mein fariq
koi charagh na ab rah-guzar mein rakkha jae
usi ko baat na pahunche jise pahunchni ho
ye iltizam bhi arz-e-hunar mein rakkha jae
na jaane kaun se tarkash ke tir kab chal jaen
nishan-e-mehr kaman-e-sipar mein rakkha jae
wafa guman hi Thahri to kya zarur ki ab
lihaz-e-ham-safari bhi safar mein rakkha jae
har ek se puchhte phirte hain tere KHana-ba-dosh
azab-e-dar-ba-dari kis ke ghar mein rakkha jae
hamein bhi aafiyat-e-jaan ka hai KHayal bahut
hamein bhi halqa-e-na-moatabar mein rakkha jae
Ghazal
Koi junun koi sauda na sar mein rakkha jae
Iftikhar Arif