ishq ko be-naqab hona tha
aap apna jawab hona tha
mast-e-jam-e-sharab hona tha
be-KHud-e-iztirab hona tha
teri aankhon ka kuchh qusur nahin
han mujhi ko KHarab hona tha
aao mil jao muskura ke gale
ho chuka jo itab hona tha
kucha-e-ishq mein nikal aaya
jis ko KHana-KHarab hona tha
mast-e-jam-e-sharab KHak hote
gharq-e-jam-e-sharab hona tha
dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
us ko sada kitab hona tha
hum ne nakaamiyon ko DhunD liya
aaKHirash kaamyab hona tha
hae wo lamha-e-sukun ki jise
mahshar-e-iztirab hona tha
nigah-e-yar KHud taDap uThti
shart-e-awwal KHarab hona tha
kyun na hota sitam bhi be-payan
karam-e-be-hisab hona tha
kyun nazar hairaton mein Dub gai
mauj-e-sad-iztirab hona tha
ho chuka roz-e-awwalin hi 'jigar'
jis ko jitna KHarab hona tha
Ghazal
Ishq ko be-naqab hona tha
Jigar Moradabadi