patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
KHud rah bana lega bahta hua pani hai
Bashir Badr
gham mein Dube hi rahe dam na hamara nikla
bahr-e-hasti ka bahut dur kinara nikla
Bekhud Dehlvi
hae kitna latif hai wo gham
jis ne baKHsha hai zindagi ka shuu
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
Chiragh Hasan Hasrat
ishq ne jis dil pe qabza kar liya
phir kahan us mein nashat o gham rahe
Dattatriya Kaifi
tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq
ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane
Dattatriya Kaifi
agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati
kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai
Divakar Rahi