hule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
aaina dekhen to chehre nazar aate hain kai
Fuzail Jafri
DhunD laya hun KHushi ki chhanw jis ke waste
ek gham se bhi use do-chaar karna hai mujhe
Ghulam Husain Sajid
hum ne tumhaare gham ko haqiqat bana diya
tum ne hamare gham ke fasane banae hain
Ghulam Mohammad Qasir
koi ek zaiqa nahin milta
gham mein shamil KHushi si rahti hai
Ghulam Murtaza Rahi
wo bhala kaise batae ki gham-e-hijr hai kya
jis ko aaghosh-e-mohabbat kabhi hasil na hua
Habeeb Ahmad Siddiqui
edard mujh se sharh-e-gham-e-zindagi na puchh
kafi hai is qadar ki jiye ja raha hun main
Hadi Machlishahri
gham-e-dil ab kisi ke bas ka nahin
kya dawa kya dua kare koi
Hadi Machlishahri