اردو हिंदी
Patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai | Shaahi Shayari
patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

Ghazal

Patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

Bashir Badr

;

patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
KHud rah bana lega bahta hua pani hai

ek zehn-e-pareshan mein KHwab-e-ghazalistan hai
patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai

dil se jo chhaTe baadal to aankh mein sawan hai
Thahra hua dariya hai bahta hua pani hai

ham-rang-e-dil-e-pur-KHun har lala-e-sahrai
gesu ki tarah muztar ab raat ki rani hai

jis sang pe nazren kin KHurshid-e-haqiqat hai
jis chand se munh moDa patthar ki kahani hai

ai pir-e-KHirad-mandan dil ki bhi zarurat hai
ye shahr-e-ghazalan hai ye mulk-e-jawani hai

gham wajh-e-figar-e-dil gham wajh-e-qarar-e-dil
aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

is hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna
hans kar koi puchhega kya jaan ganwani hai

din talKH haqaeq ke sahraon ka suraj hai
shab gesu-e-afsana yaadon ki kahani hai

wo husn jise hum ne ruswa kiya duniya mein
nadida haqiqat hai na-gufta kahani hai

wo misra-e-awara diwanon pe bhaari hai
jis mein tere gesu ki be-rabt kahani hai

hum KHushbu-e-awara hum nur-e-pareshan hain
ai 'badr' muqaddar mein aashufta-bayani hai