اردو हिंदी
Ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota | Shaahi Shayari
ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota

Ghazal

Ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota

Chiragh Hasan Hasrat

;

ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar par hai wo dast-e-dua hota

ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota

nakaam-e-tamanna dil is soch mein rahta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota

ummid to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota

ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne
kuchh hum se kaha hota kuchh hum se suna hota