gham se bikhra na paemal hua
main to gham se hi be-misal hua
Hasan Nayeem
shikwa-e-gham tere huzur kiya
hum ne be-shak baDa qusur kiya
Hasrat Mohani
ahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak
'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha
Haya Lakhnavi
phir meri aas baDha kar mujhe mayus na kar
hasil-e-gham ko KHuda-ra gham-e-hasil na bana
Himayat Ali Shayar
dil ko gham ras hai yun gul ko saba ho jaise
ab to ye dard ki surat hi dawa ho jaise
Hosh Tirmizi
aashob-e-iztirab mein khaTka jo hai to ye
gham tera mil na jae gham-e-rozgar mein
Iqbal Suhail
hazar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itna tha ki koi sath rone wala tha
Jamal Ehsani