اردو हिंदी
Lutf ho hashr mein kuchh baat banae na bane | Shaahi Shayari
lutf ho hashr mein kuchh baat banae na bane

Ghazal

Lutf ho hashr mein kuchh baat banae na bane

Dattatriya Kaifi

;

lutf ho hashr mein kuchh baat banae na bane
aankh bhi shoKH sitam-gar se churae na bane

mujh ko uThwa to diya us ne bhari mahfil se
kaun tha ye koi puchhe to batae na bane

baat sari ye hai wo zid pe aDe baiThe hain
yaad ki bhul ho to lakh jatae na bane

tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq
ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane

sidhi baaton pe hai matlub sanad aur subut
hain wo kaj-bahas zaban un se milae na bane

fath ka raaz hai sabit-qadmi aur himmat
kaam bhi hai koi aisa ki banae na bane

baat wo kah gae aae bhi to kis tarah yaqin
aur sehr is mein kuchh aisa hai bhulae na bane

be-kasi ki hai musibat mein shikayat be-sud
kab paDa waqt ki apne bhi parae na bane

gham jo pyare se mile kyun na ho wo bhi pyara
bhulna bhi use chahen to bhulae na bane

hai nazar mein wo saman naqsh hai jis ka dil par
dard wo nam hai lab tak jise lae na bane

be-KHudi ka hai jahan be-asar naz o niyaz
sarkashi bhi na chale sar bhi jhukae na bane

aah-e-sard aur bhi bhaDkati hai shola dil mein
ye diya wo hai jo phunkon se bujhae na bane

sard aazad hai dil rashk o numaish hai abas
KHar khae na bane gul bhi khilae na bane

ain yak-rangi hai nairang-e-tamasha har chand
ye wo uryani ka parda hai uThae na bane

be-KHudi mein bhi to 'kaifi' ki ye KHuddari hai
haal-e-dil puchh bhi len wo to sunae na bane