liye phira jo mujhe dar-ba-dar zamane mein
KHayal tujh ko dil-e-be-qarar kis ka tha
Muneer Niyazi
mahak ajab si ho gai paDe paDe sanduq mein
rangat phiki paD gai resham ke rumal ki
Muneer Niyazi
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
Muneer Niyazi
main hun bhi aur nahin bhi ajib baat hai ye
ye kaisa jabr hai main jis ke iKHtiyar mein hun
Muneer Niyazi
main KHush nahin hun bahut dur us se hone par
jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya
Muneer Niyazi
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
Muneer Niyazi
main us ko dekh ke chup tha usi ki shadi mein
maza to sara isi rasm ke nibah mein tha
Muneer Niyazi
makan hai qabr jise log KHud banate hain
main apne ghar mein hun ya main kisi mazar mein hun
Muneer Niyazi
makan-e-zar lab-e-goya had-e-sipehr-o-zamin
dikhai deta hai sab kuchh yahan KHuda ke siwa
Muneer Niyazi