meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
Muneer Niyazi
milti nahin panah hamein jis zamin par
ek hashr us zamin pe uTha dena chahiye
Muneer Niyazi
mere pas aisa tilism hai jo kai zamanon ka ism hai
use jab bhi socha bula liya use jo bhi chaha bana diya
Muneer Niyazi
mohabbat ab nahin hogi ye kuchh din baad mein hogi
guzar jaenge jab ye din ye un ki yaad mein hogi
Muneer Niyazi
muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'
ek bar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya
Muneer Niyazi
mujh se bahut qarib hai tu phir bhi ai 'munir'
parda sa koi mere tere darmiyan to hai
Muneer Niyazi
'munir' achchha nahin lagta ye tera
kisi ke hijr mein bimar hona
Muneer Niyazi
'munir' is KHubsurat zindagi ko
hamesha ek sa hona nahin hai
Muneer Niyazi
'munir' is mulk par aaseb ka saya hai ya kya hai
ki harkat tez-tar hai aur safar aahista aahista
Muneer Niyazi