اردو हिंदी
Muneer Niyazi Shayari | Shaahi Shayari

Muneer Niyazi Shers

116 Shers

kisi akeli sham ki chup mein
git purane ga ke dekho

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kisi ko apne amal ka hisab kya dete
sawal sare ghalat the jawab kya dete

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kitne yar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akela hai
apne hi gham ke nashshe se apna ji bahlata hai

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


koi to hai 'munir' jise fikr hai meri
ye jaan kar ajib si hairat hui mujhe

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


koyalen kukin bahut diwar-e-gulshan ki taraf
chand damka hauz ke shaffaf pani mein bahut

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kuchh din ke baad us se juda ho gae 'munir'
us bewafa se apni tabiat nahin mili

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kuchh waqt chahte the ki sochen tere liye
tu ne wo waqt hum ko zamane nahin diya

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kyun 'munir' apni tabahi ka ye kaisa shikwa
jitna taqdir mein likkha hai ada hota hai

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |


lai hai ab uDa ke gae mausamon ki bas
barkha ki rut ka qahr hai aur hum hain dosto

Muneer Niyazi


Tags: | 2 Lines Shayari |