shahr ka tabdil hona shad rahna aur udas
raunaqen jitni yahan hain auraton ke dam se hain
Muneer Niyazi
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gaya
Muneer Niyazi
shahr mein wo mo'tabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya
Muneer Niyazi
subh-e-kazib ki hawa mein dard tha kitna 'munir'
rail ki siTi baji to dil lahu se bhar gaya
Muneer Niyazi
sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain
un ummaton ka zikr jo raston mein mar gain
Muneer Niyazi
tanha ujaD burjon mein phirta hai tu 'munir'
wo zar-fishaniyan tere ruKH ki kidhar gain
Muneer Niyazi
us husn ka shewa hai jab ishq nazar aae
parde mein chale jaana sharmae hue rahna
Muneer Niyazi
tu bhi jaise badal sa jata hai
aks-e-diwar ke badalte hi
Muneer Niyazi
tum mere liye itne pareshan se kyun ho
main Dub bhi jata to kahin aur ubharta
Muneer Niyazi