shahr mein wo mo'tabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya
Muneer Niyazi
subh-e-kazib ki hawa mein dard tha kitna 'munir'
rail ki siTi baji to dil lahu se bhar gaya
Muneer Niyazi
sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain
un ummaton ka zikr jo raston mein mar gain
Muneer Niyazi
tanha ujaD burjon mein phirta hai tu 'munir'
wo zar-fishaniyan tere ruKH ki kidhar gain
Muneer Niyazi
tez thi itni ki sara shahr suna kar gai
der tak baiTha raha main us hawa ke samne
Muneer Niyazi
tha 'munir' aaghaz hi se rasta apna ghalat
is ka andaza safar ki raigani se hua
Muneer Niyazi
thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun
main bas ki khiDkiyon se ye tamashe dekh leta hun
Muneer Niyazi
tum mere liye itne pareshan se kyun ho
main Dub bhi jata to kahin aur ubharta
Muneer Niyazi
tu bhi jaise badal sa jata hai
aks-e-diwar ke badalte hi
Muneer Niyazi