اردو हिंदी
Hijrat Shayari | Shaahi Shayari

Hijrat

18 Shers

phir nai hijrat koi darpesh hai
KHwab mein ghar dekhna achchha nahin

Abdullah Javed


Tags: | Ghar | | Khwab | | Hijrat | | 2 Lines Shayari |


Dhang ke ek Thikane ke liye
ghar-ka-ghar naql-e-makani mein raha

Abrar Ahmad




ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana

Aftab Iqbal Shamim




pani mein aks aur kisi aasman ka hai
ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai

Ahmad Mushtaq




main kya jaanun gharon ka haal kya hai
main sari zindagi bahar raha hun

Ameer Qazalbash




talash-e-rizq ka ye marhala ajab hai ki hum
gharon se dur bhi ghar ke liye base hue hain

Arif Imam




dard-e-hijrat ke satae hue logon ko kahin
saya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagta hai

Bakhsh Layalpuri


Tags: | Ghar | | Hijrat | | 2 Lines Shayari |