ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
main KHwab mein to hun lekin KHayal bhi hai mujhe
Muneer Niyazi
ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
Muneer Niyazi
ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yaad
tanhaiyon ka zahr hai aur hum hain dosto
Muneer Niyazi
wo khaDa hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta hun use is KHauf mein daKHil na ho
Muneer Niyazi
wo jo mere pas se ho kar kisi ke ghar gaya
reshmi malbus ki KHushbu se jadu kar gaya
Muneer Niyazi
wo jis ko main samajhta raha kaamyab din
wo din tha meri umr ka sab se KHarab din
Muneer Niyazi
waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
Muneer Niyazi
wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho
Muneer Niyazi
sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain
un ummaton ka zikr jo raston mein mar gain
Muneer Niyazi