ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
Muneer Niyazi
ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
main KHwab mein to hun lekin KHayal bhi hai mujhe
Muneer Niyazi
ye namaz-e-asr ka waqt hai
ye ghaDi hai din ke zawal ki
Muneer Niyazi
ye safar malum ka malum tak hai ai 'munir'
main kahan tak in hadon ke qaid-KHanon mein rahun
Muneer Niyazi
zamin ke gird bhi pani zamin ki tah mein bhi
ye shahr jam ke khaDa hai jo tairta hi na ho
Muneer Niyazi
zawal-e-asr hai kufe mein aur gadagar hain
khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siwa
Muneer Niyazi
zinda logon ki bud-o-bash mein hain
murda logon ki aadaten baqi
Muneer Niyazi
zinda rahen to kya hai jo mar jaen hum to kya
duniya se KHamushi se guzar jaen hum to kya
Muneer Niyazi