aDi mushkil se ye jaana ki hijr-e-yar mein rahna
bahut mushkil hai par aaKHir mein aasani bahut hai
Muneer Niyazi
aa gai yaad sham Dhalte hi
bujh gaya dil charagh jalte hi
Muneer Niyazi
apne gharon se dur banon mein phirte hue aawara logo
kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jate rahna
Muneer Niyazi
aisa safar hai jis ki koi intiha nahin
aisa makan hai jis mein koi ham-nafas nahin
Muneer Niyazi
achchhi misal bantin zahir agar wo hotin
in nekiyon ko hum to dariya mein Dal aae
Muneer Niyazi
ab kisi mein agle waqton ki wafa baqi nahin
sab qabile ek hain ab sari zaten ek si
Muneer Niyazi
ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya
Muneer Niyazi
aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae
warna ye umr bhar ka safar raegan to hai
Muneer Niyazi
aadat hi bana li hai tum ne to 'munir' apni
jis shahr mein bhi rahna uktae hue rahna
Muneer Niyazi