اردو हिंदी
Mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae | Shaahi Shayari
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae

Ghazal

Mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae

Muneer Niyazi

;

mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae

na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai
hote hote hum zamane se juda hote gae

muntazir jaise the dar shahar-e-firaq-asar ke
ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae

harf parda-posh the izhaar-e-dil ke bab mein
harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae

waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae