ajib turfa-tamasha hai mere ahd ke log
sawal karne se pahle jawab mangte hain
Abbas Rizvi
sawal kar ke main KHud hi bahut pasheman hun
jawab de ke mujhe aur sharmsar na ka
Abdul Hamid Adam
jo sote hain nahin kuchh zikr un ka wo to sote hain
magar jo jagte hain un mein bhi bedar kitne hain
Abul Mujahid Zahid
kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'
honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai
Adeem Hashmi
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
Akbar Allahabadi
jo chahiye so mangiye allah se 'amir'
us dar pe aabru nahin jati sawal se
Ameer Minai
mang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
Ameer Minai