thoDi si aql lae the hum bhi magar 'adam'
duniya ke hadsat ne diwana kar diya
Abdul Hamid Adam
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
Akbar Allahabadi
mazhabi bahs main ne ki hi nahin
faltu aql mujh mein thi hi nahin
from sectarian debate refrained
for I was not so scatter-brained
Akbar Allahabadi
aql ko tanqid se fursat nahin
ishq par aamal ki buniyaad rakh
Allama Iqbal
guzar ja aql se aage ki ye nur
charagh-e-rah hai manzil nahin hai
go beyond knowledge for its illumination
is the lamp to light the way, not the destination
Allama Iqbal
ilm mein bhi surur hai lekin
ye wo jannat hai jis mein hur nahin
Allama Iqbal
nikal ja aql se aage ki ye nur
charagh-e-rah hai manzil nahin hai
Allama Iqbal