aae ho ghar se uTh kar mere makan ke upar
ki tum ne mehrbani be-KHanuman ke upa
Mir Taqi Mir
aadam-e-KHaki se aalam ko jila hai warna
aaina tha to magar qabil-e-didar na tha
Mir Taqi Mir
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
Mir Taqi Mir
aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya
is baad ne hamein to diya sa bujha diya
Mir Taqi Mir
aashiqon ki KHastagi bad-hali ki parwa nahin
ai sarapa naz tu ne be-niyazi KHub ki
Mir Taqi Mir
aawargan-e-ishq ka puchha jo main nishan
musht-e-ghubar le ke saba ne uDa diya
Mir Taqi Mir
ab dekh le ki sina bhi taza hua hai chaak
phir hum se apna haal dikhaya na jaega
Mir Taqi Mir
ab jo ek hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki ye nishani hai
Mir Taqi Mir
ab kar ke faramosh to nashad karoge
par hum jo na honge to bahut yaad karoge
Mir Taqi Mir