hasti apni habab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai
Mir Taqi Mir
hazar martaba behtar hai baadshahi se
agar nasib tere kuche ki gadai ho
Mir Taqi Mir
hoga kisi diwar ke sae mein paDa 'mir'
kya kaam mohabbat se us aaram-talab ko
Mir Taqi Mir
hosh jata nahin raha lekin
jab wo aata hai tab nahin aata
Mir Taqi Mir
ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara
is musht-e-KHak ko hum masjud jaante hain
Mir Taqi Mir
iqrar mein kahan hai inkar ki si surat
hota hai shauq ghaalib us ki nahin nahin pa
Mir Taqi Mir
ishq hai ishq karne walon ko
kaisa kaisa baham kya hai ishq
Mir Taqi Mir
ishq hai tarz o taur ishq ke tain
kahin banda kahin KHuda hai ishq
love is the mode and style of love
it's man below and God above
Mir Taqi Mir
ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq
its only Love where'er you see
Love fills this world entirely
Mir Taqi Mir