kahte to ho yun kahte yun kahte jo wo aata
ye kahne ki baaten hain kuchh bhi na kaha jata
Mir Taqi Mir
kaun kahta hai na ghairon pe tum imdad karo
hum faramoshiyon ko bhi kabhu yaad karo
Mir Taqi Mir
kaun leta tha nam majnun ka
jab ki ahd-e-junun hamara tha
Mir Taqi Mir
KHarab rahte the masjid ke aage mai-KHane
nigah-e-mast ne saqi ki intiqam liya
Mir Taqi Mir
khilna kam kam kali ne sikha hai
us ki aankhon ki nim-KHwabi se
Mir Taqi Mir
KHuda ko kaam to saunpe hain main ne sab lekin
rahe hai KHauf mujhe wan ki be-niyazi ka
Mir Taqi Mir
kin nindon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-nak
mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya
Mir Taqi Mir
kisu se dil nahin milta hai ya rab
hua tha kis ghaDi un se juda main
Mir Taqi Mir
kitni baaten bana ke laun lek
yaad rahtin tere huzur nahin
Mir Taqi Mir