kin nindon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-nak
mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya
Mir Taqi Mir
kisu se dil nahin milta hai ya rab
hua tha kis ghaDi un se juda main
Mir Taqi Mir
kitni baaten bana ke laun lek
yaad rahtin tere huzur nahin
Mir Taqi Mir
mat ranja kar kisi ko ki apne tu e'tiqad
dil Dhae kar jo kaba banaya to kya hua
Mir Taqi Mir
'mir' amdan bhi koi marta hai
jaan hai to jahan hai pyare
Mir Taqi Mir
mere rone ki haqiqat jis mein thi
ek muddat tak wo kaghaz nam raha
where the true saga of my weeping was contained
sodden, moist for ages then, that paper remained
Mir Taqi Mir
mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson
tab KHak ke parde se insan nikalte hain
Mir Taqi Mir
marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko
shahr-e-dilli mein hai sab pas nishani us ki
Mir Taqi Mir
marg ek mandgi ka waqfa hai
yani aage chalenge dam le ka
Mir Taqi Mir