jaur kya kya jafaen kya kya hain
aashiqi mein balaen kya kya hain
Mir Taqi Mir
jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gae
aksar hamare sath ke bimar mar gae
Mir Taqi Mir
jis sar ko ghurur aaj hai yan taj-wari ka
kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka
the head that's held high today because it wears a crown
tomorrow, here itself, will in lamentation drown
Mir Taqi Mir
jo is shor se 'mir' rota rahega
to ham-saya kahe ko sota rahega
O Miir so loudly, if you continue to weep
how will your neighbor be able to stay asleep
Mir Taqi Mir
jo tujh bin na jine ko kahte the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale
Mir Taqi Mir
kabe mein jaan-ba-lab the hum duri-e-butan se
aae hain phir ke yaro ab ke KHuda ke han se
Mir Taqi Mir
kaam the ishq mein bahut par 'mir'
hum hi farigh hue shitabi se
Mir Taqi Mir
kasa-e-chashm le ke jun nargis
hum ne didar ki gadai ki
Mir Taqi Mir
kaha main ne gul ka hai kitna sabaat
kali ne ye sun kar tabassum kiya
Mir Taqi Mir