ishq ek 'mir' bhaari patthar hai
kab ye tujh na-tawan se uThta hai
love is a real burden, Miir, it is a heavy stone
how can it be lifted by a weak person alone?
Mir Taqi Mir
ishq ka ghar hai 'mir' se aabaad
aise phir KHanaman-KHarab kahan
love's abode has been by miir inhabited
???
Mir Taqi Mir
ishq karte hain us pari-ru se
'mir' sahab bhi kya diwane hain
he is in love with that angel face
what a crazy person is this mii
Mir Taqi Mir
ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq
both lover and beloved be
love's self-involved entirely
Mir Taqi Mir
ishq mein ji ko sabr o tab kahan
us se aankhen laDin to KHwab kahan
Mir Taqi Mir
ishq se ja nahin koi KHali
dil se le arsh tak bhara hai ishq
Mir Taqi Mir
jae hai ji najat ke gham mein
aisi jannat gai jahannam mein
Mir Taqi Mir
jab ki pahlu se yar uThta hai
dard be-iKHtiyar uThta hai
when from my side my love departs
a gush of grief unbidden starts
Mir Taqi Mir
jam gaya KHun kaf-e-qatil pe tera 'mir' zi-bas
un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote
Mir Taqi Mir