اردو हिंदी
Marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare | Shaahi Shayari
marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare

Ghazal

Marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare

Moin Ahsan Jazbi

;

marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
ye duniya ho ya wo duniya ab KHwahish-e-duniya kaun kare

jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare

jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhaDkai hai us aag ko ThanDa kaun kare

duniya ne hamein chhoDa 'jazbi' hum chhoD na den kyun duniya ko
duniya ko samajh kar baiThe hain ab duniya duniya kaun kare