اردو हिंदी
Na sathi hai na manzil ka pata hai | Shaahi Shayari
na sathi hai na manzil ka pata hai

Ghazal

Na sathi hai na manzil ka pata hai

Asad Bhopali

;

na sathi hai na manzil ka pata hai
mohabbat rasta hi rasta hai

wafa ke nam par barbaad ho kar
wafa ke nam se dil kanpta hai

main ab tere siwa kis ko pukarun
muqaddar so gaya gham jagta hai

wo sab kuchh jaan kar anjaan kyun hain
suna hai dil ko dil pahchanta hai

ye aansu DhunDta hai tera daman
musafir apni manzil jaanta hai