tum to baiThe hue pe aafat ho
uTh khaDe ho to kya qayamat ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
tum to baiThe hue pur-afat ho
uTh khaDe ho to kya qayamat ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae
jahan mein kaam the jitne tamam bhul gae
Shaikh Zahuruddin Hatim
tumhaari dekh saj ai tang-posho
hue Dhile mere kapDe badan ke
Shaikh Zahuruddin Hatim
tu apne man ka manka pher zahid warna kya hasil
tujhe is makr ki tasbih se zunnar behtar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim
tu jo musa ho to us ka har taraf didar hai
sab ayan hai kya tajalli ko yahan takrar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
tu ne ghaarat kiya ghar baiThe ghar ek aalam ka
KHana aabaad ho tera ai mere KHana-KHara
Shaikh Zahuruddin Hatim
TuTe dil ko bana dikhawe
aisa koi kari-gar na dekha
Shaikh Zahuruddin Hatim
us waqt dil mera tere panje ke bich tha
jis waqt tu ne hat lagaya tha hat ko
Shaikh Zahuruddin Hatim