اردو हिंदी
Fikr mein muft umr khona hai | Shaahi Shayari
fikr mein muft umr khona hai

Ghazal

Fikr mein muft umr khona hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

fikr mein muft umr khona hai
ho chuka hai jo kuchh ki hona hai

khel sab chhoD khel apna khel
aap qudrat ka tu khilauna hai

aankh Tuk khol did-e-qudarat kar
phir to panw pasar sona hai

chup raha kar baDon ki majlis mein
ye bhi ek aafiyat ka kona hai

mera mashuq hai mazon mein bhara
kabhu miTha kabhu salona hai

chhal-bal us ki nigah ka mat puchh
sehr hai ToTka hai Tona hai

ro tu 'hatim' 'husain' ke gham mein
aur rona to ranD rona hai