nau-jawanon ko dekh kar 'hatim'
yaad ahd-e-shabab aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
nazar mein band kare hai tu ek aalam ko
fusun hai sehr hai jadu hai kya hai aankhon mein
Shaikh Zahuruddin Hatim
nazar mein us ki jo chaDhta hai so jita nahin bachta
hamara sanwla us shahr ke goron mein kala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ne kaba ki hawas na hawa-e-kunisht hai
dekha to donon jae wahi sang-o-KHisht hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
nigahen joD aur aankhen chura Tuk chal ke phir dekha
mere chehre upar ki shah-e-KHuban ne nazar sani
Shaikh Zahuruddin Hatim
paDi phirti hain kai laila-o-shirin har ja
par koi hae yahan majnun-o-farhad nahin
Shaikh Zahuruddin Hatim
pagDi apni yahan sambhaal chalo
aur basti na ho ye dilli hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
pahn kar jama basanti jo wo nikla ghar sun
dekh aankhon mein meri phul gai hai sarson
Shaikh Zahuruddin Hatim
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diya mujhe sayyaad ne qafas
Shaikh Zahuruddin Hatim